Wednesday, September 21, 2011

♥ Juzzbaat ♥



Aap humaari zindagi mein, kuch iss tareh se aaye,
Gulshan mein khilke, jaise phool lehraaye.

Iss kadar aapko chaahne lagenge, andaaza naa tha,
Aapke bina jee naa paayenge, socha na tha.

Kaisa yeh khumaar hai, jo hum par chhaaya hai,
Humaare khayaalon mein, sirf aapka hi saaya hai.

Kitni mohabbat, is dil mein hai kya bataayein,
Ke aapki yaadein humein, har pal hai sataayein.

Naa jaane aap mein, aisi kya khaas baat hai,
Ke ab humein hosh nahin, din hai ya raat hai.

Aapki khushboo, ab bhi humaari saanson mein samaai hai,
Aapki tasveer, ab bhi humaari aankhon par chhaai hai.

Pyaar mein aapke, yeh dil deewaana hai,
Khushi ka humaari, ab kahaan thikaana hai.

Kyun aap humaare, yeh juzzbaat nahin samajhte,
Kyun humaari mohabbat par, yakeen nahin karte.

Galat fehmi aur shaq, rishton mein daraar daalte hain,
Phir kyun aap inhein, apne zehen mein paalte hain.

Naa toh aapse shikvah hai, naa hi koi shikaayat,
Kaash aap humaare hote, bas itni thi humaari chaahat.

Khudaa ki marzi ke aage, kaun tikk paaya hai,
Humaari zindagi mein bhi yeh mod, Khudaa ne hi laaya hai.

Kahaan jaayein kya karein, kuch samajh mein nahi aata,
Dard ab yeh doori ka, sahaa bhi nahi jaata.

Lagta hai hum dono ka, bas yahin tak saath tha,
Gaye woh din, jab humaare haathon mein aapka haath tha.

Khudaa kare aapko zindagi mein, har khushi naseeb ho,
Humaari tareh pyaar mein, naa kabhi aap badnaseeb ho.

Ae Khudaa karte hain ab, sab tere hawaale,
Chaahe zindagi de, chaahe maar daale...!!!

No comments:

Post a Comment